Dil mein | Insha JiGuftagoo | Dost | Na-tamaam Yaadein | Baad marn'e ke | Abhi to main
 
                                                                 Women Poets


Naasir Kaazmi


 




       In english.......
                                                                            
Naasir Kaazmi

Dil mein ik lehar see uthee hai abhee
Koi taaza hawaa, chalee hai abhee

Shorr bharpaa hai, khaan-e-dil mein
Koee deewar see, giree hai abhee

Bharee dunyaa mein jee naheen lagthaa
Jaane kis cheez kee, kamee hai abhee

Kuch to naazuk mizaaj hain hum bhee
Aurr yeh chot bhee, nayee hai abhee

my favourite shair.........

Soo gay'e loog is hawelee ke
Ek khirkee magar, khulee hai abhee (2.30 a.m)

Sheharr kee be-chiraagh galiyoon mein
Zindagee tujh ko, dhoondathee hai abhee

Yaad ke be-nishaan jazeeroon se
Teree aawaaz aa, rahee hai abhee

Waqt achaa bhee aa'e gaa naasir
Gham na kar zindagee, paree hai abhee

Dil mein ik lehar see...........




Inshaa Jee



                                                                            
GUFTAGOO (Alamak!)

Yeh jo do Ghadi kabhee ham kaheen

jo guzar laytay hain kobakoo

Yehi do Ghari kee hay guftago

Koee guftago ka jawaz hay?

Teri zindagi may khiyal hay

Teri zindagi ka jawaz hay

Tujhay zindagi ka khumar hay

Teri zindagi to hay zindagi

Meri zindagi ka pata nahee

Kabhee main chaman kee bahar tha

Magar ab to ek saraab hoon

Main gaee ruttoon ka shabab hoon

Magar ab bhee mujh may qarar hay

Magar ab bhee mera woojood hay

Jo agar judai hoee kabhee

to yeh rakhna yaad lamhe haseen...........

Yeh jo do Ghadi kabhee ham kaheen

jo guzar laytay hain kobaho

Yehi do ghadi kee hay guftagoo

Koee guftago may hay justajoo

Nahee koee jis ka jawaz hay

Magar ek is may be raaz hay

Yehi raaz hee to hay zindagi

Jo keh zindagi ka jawaz hay

Jo na hoon gay ham to yeh sochna

saray rah mil kay juda huay

Rahi zindagi to kabhee kaheen

saray rah miltay rahain gay ham

Yehi arzoo hay meri Najim

jo tadap rahi hay abhee talak

Dilay beqarar may kobako

Yehi do ghadi kee hay guftago........


 




FRIEND (Dost)
 

Muhjay yaad hain wo haseen pal, jo tera mera wo qarar tha

Wo Muhabbatain mujhay yaad hain, nahee koee jin ka shumar tha

Mujhay yaad hain teri chahatain, wo sharartain bhee zara zara

Kabhee tujh ko mujh say bhee chah thee, to meray chaman kee bahar tha

Jo guzar gai meri zindagi, mujhay lag rahi hay wo khawb ik

Kabhee wo bhee yar theen ronkain, kabhee wo bhee lail-o-nihar tha

Yaka yak falak may yoon ja-ba-ja, chaleen aandhian lutay aashian

Hoeen nafratain chalay teer bhee, mera dil hee unn ka shikar tha

Jo chalay thay teer kuman say, to kuma tha meray he yaar ka

Yeh wohee tha "yaar" keh jo Najim, kabhee jaan say tujh peh nisar tha


 




                                                                            
In-complete Memories  (Na-tamaam Yaadein)
 

Kabhee Yaad phir jo aa-ain

Wohee ujlee ujlee yaadain, Wohee meethee meethee baatain

Wohee nahr ka kinara, Wohee raunqain puranee

Kabhee tera gudgudana, kabhee mera muskurana

To unhain bhee yaad karna

Jinhain kho dia hay ham nay

Jo kabhee udaas baitho, to mujhay bhee yaad karna

Wohee na tamam yaadain, wohee naam yaad karna

Wohaee naam jo abhee tak, meray gird goonjtay hain

Jo na main bhulaa sakoon ga

Jo na tum bhulaa sako gay.....



Baad marn'e ke aayee hayaa mujh'e.......
 

Mera Dunya main aana Aazmaeesh hay meree

Mera Dunya say jana Imtihaan hoga mera

Ek apnay Wojooday khak-o-mattee kay sir per

Shehn-shahay Jahan ka mainay her hukm tala

Garchay Muslim hoon main to, Kafirana amal hain

Din to Masjid main guzra, shab ko may-khana hoga

Sir jhukaya kabhee jab, mainay paya Khuda ko

Bada kash main huaa jab, khud ko bay haal dekha

Larz utth-ta hoon main to, soochta hoon Najim jab

Maut aaee jo meree, mera kia haal hoga?




Abhii to mai.n javaan huu.N
 

havaa bhi Khushagavaar hai, gulo.n pe bhii nikhaar hai
tarannume.n hazaar hai.n, bahaar purbahaar hai
kahaa.N chaalaa hai saaqiyaa, idhar to lauT idhar to aa
are ye dekhataa hai kyaa, uThaa subuu, subuu uThaa
subuu uThaa piyaalaa bhar, piyaalaa bhar ke de idhar

chaman kii simt kar nazar, samaa.N to dekh beKhabar
vo kaalii-kaalii badaliyaa.N, ufaq pe ho ga_ii ayaa.N
vo ik hajuum-e-maikashaa.N, hai suu-e-maikadaa ravaa.N
ye kyaa gumaa.N hai badagumaa.N, samajh na mujhako naatavaa.N
Khayaal-e-zohd abhii kahaa.N
 

abhi to mai.n javaan huu.N.......
 

ibaadato.n kaa zikr hai, nijaat kii bhii fikr hai
junuun hai sabaab kaa, Khayaal hai azaab kaa
magar suno to shaiKh jii, ajiib shai hai.n aap bhii
bhalaa shabaab-o-aashiqii, alag hue bhii hai.n kabhii

hasiin jalavaarez ho.n, adaae.N fitanaaKhez ho.n
havaae.N itrabez ho.n, to shauq kyuu.N na tez ho.n
nigaarahaa-e-fitanaagar koi idhar, koi udhar
ubhaarate ho aish par, to kyaa kare koii bashar
chalo jii qissaa muKhtasar, tumhaaraa nuktaa-e-nazar
durust hai to ho, magar
 

abhi to mai.n javaan huu.N.......
 

na Gam kashuud-o-bast kaa, bala.nd kaa na past kaa
na buud kaa na hast kaa, na vaadaa-e-alast kaa
ummiid aur yaas gum, havaas gum qayaas gum
nazar se aas-paas gum, hamaa bajuz gilaas gum
na may me.n kuchh kamii rahe, qadaa se hamadamii rahe

nishast ye jamii rahe, yahii hamaahamii rahe
vo raag chhe.D mutaribaa, tarab-fizaa alam-rubaa
asar sadaa-e-saaz kaa, jigar me.n aag de lagaa
har iklab pe ho sadaa na haath rok saaqiiyaa
pilaae jaa pilaae jaa, pilaae jaa pilaae jaa...
 

abhii to mai.n javaan huu.N.....
 

ye gasht kohasaar kii, ye sair juu-e-vaar kii
ye bulbulo.n ke chahachahe, yeh gul_ruKho.n ke qahqahe
kisii se mel ho gayaa, to ra.nj-o-fikr kho gayaa
kabhii jo vaqt so gayaa, ye ha.Ns gayaa vo ro gayaa
           ye ishq kii kahaaniyaa.N, ye ras bharii javaaniyaa.N

udhar se meharabaaniyaa.N, idhar se lantaraaniyaa.N
ye aasamaan ye zamii.n, nazzaraahaa-e dilanashii.n
unhe.n hayaat aafarii.n, bhalaa mai.n chho.D doo.N yahii.n
hai maut is qadar qarii.n, mujhe na aayegaa yaqii.n
nahii.n nahii.n abhii nahii.n, nahii.n nahii.n abhii nahii.n
 

abhi to mai.n javaan huu.N......



      Women Poets........

       | Ada Ja'fri | Fatima Sabeeha Thanwee | Wajda Tabbassam | Zubaida Rana | Zuhra Nigah
           Irfana Aziz | Kanwal Fairooz | Kishwar Naheed | Raabe'a  NihaaN | Riffat Sultan
                                                            Shaheda Hasan



                                                                            
Ada Ja'fri

na ghubaar meiN na gulaab meiN mujHe dekHna
mirre dard kee Aab-o-tab meiN mujHe dekHna

kisee waqt shaam malaal meiN mujHe soachna
kabHee apne dil kee kitaab meiN mujHe dekHna

kisee dHun meiN tum bHee jo basteyooN ko tiyaag do
Isee rah-e-khana kharaab meiN mujHe dekHna

kisee raat mah-o-najoom se mujHe poachHna
kabHee apnee chushm purAab meiN mujHe dekHna

maiN jo raat bHar ghum Aaftab sahar meiN tHee
Isee shu'la ro ke 'tab meiN mujHe dekHna

Isee dil se ho kar guzar ga'e k'ee karwaan
k'ee hijartooN ke 'zaab meiN mujHe dekHna

maiN na mil sakooN bHee to kya hoaa keh fasana hoaN
n'ee daastaaN na'e baab meiN mujHe dekHna

mirre khaar khaar sawal meiN mujHe DHonDna
mirre geet meiN mirre khawaab meiN mujHe dekHna

mirre Aansw'on ne bujHa'ee tHee meree tishnagee
Isee bargzeeda saHab meiN mujHe dekHnaa

wahee aik lamHa' deed tHa keh ruka raha
mirre roz-o-shab ke Hissaab meiN mujHe dekHna

jo taRap tujHe kisee Aa'ene meiN na mil sake
to pHir Aa'ene ke jawab meiN mujHe dekHna




Fatima Sabeeha Thanwee

" kashmakash "

haa'e woh dard meiN Dooba hoaa yadooN ka hajoom
kanpte dil ka taqazza tHa keh unheeN yaad na kar

yooN bHee dunya se paraishan satane se ho'e
aur naakarda gunahooN kee pashaimanee bHee

un ko chaaha unheeN pooja yeh khatva apnee naheeN
apne anjaam se ghaafil tHe mohabat ke aseer

zindgee aik sitam aik moxeebat ke siwa
aur kuchH hum ko naZar Aa na sakee gham ke siwa

aur Is gham ka madaawa yahaaN dunya meiN naheeN
maot aisee hai jo Is gham se chuRa detee hai

kaanpte rehte heiN maazzee ke dHunlake saa'e
dil meiN Ik Tees uTHa detee hai yaadooN kee xaleeb

koshasheiN laakH karaiN un ko bHulaane kee magar
woh har Ik saans meiN samaa'e se ho'e

jaise pHolooN meiN samaa'ee ho'ee un ke khushboo
jaise sooraj kee tapash os se naheeN door kaheeN

mere Allah mere gham ka madaawaa kar de
mujH ko dunya ke har aHsaas se chHuTkaara de


 




Wajda Tabbassam

hamaare un ke maraasam kee baat mat poochoo
yeh silsila to kaheeN door jaaN se milta hai

hai apne muqaddar kee baat kya kahy'e
hamaare zakham ko marham kahaaN se milta hai

hamaare piyar ke qixe galee galee bikHre
yeh martaba baRe sood-o-ziyaaN se milta hai

sitarooN jesee yeh AankHeeN yeh chaand sa chehra
tumhaara silsila kuch AasmaaN se milta hai

hamaara zikar kitabooN meiN DHoonDne waalo
hamaara zikar to sare jahaaN se milta hai


 




Zubaida Rana

Hashar uTHa mae khaane se
baat baRhee pemaane se

pemaanooN ke tarah se dil
TooT gai Takraane se

bazm kee raonaq maand paRee
aik tirre uTH jane se

dil kee uljHan aur baRee
zulf teree suljHane se

AankH se kuch Aansoo Tapke
ma'e chHulkee paimaane se

Aaj haqeeqat miltee hai
sirf tirre afsaane se

shabnam ka dil Doob gya
kalyooN ke muskaane se

hum ne dil se baat nah kee
kya kahte deewaane se

darras laiN mekash ae Rana
TooTe ho'e paimaane se


 




Zuhra Nigah

shorash qalb-o-naZar Aakhar zabaaN tak Aa ga'ee
baat to Itnee se tHee laikan kahaaN tak Aa ga'ee

maatam Husn-e-chaman ahal-e-chaman karte rahe
baRte baRte Aag laikan baaghbaan tak Aa ga'ee

kahte kahte haal-e-dil ik waaq'ah sa ban gya
sunte sunte baat Aakhar daastaaN tak Aa ga'ee

ab hameeN khud gham naheeN hai pursash-e-aHwaal ka
baat apne zikar roodad-e-jahaN tak Aa ga'ee

aur hee tvaraz jafa DHoonDeiN falak kee gardsheiN
ab wafa bHee manzal-e-sood-o-ziyaaN tak Aa ga'ee

raat weeraaN KahakshaaN HairaaN mah-o-anjam udaas
lo zameeN kee baat Aakhar AasmaaN tak Aa ga'ee


 




                                                                               
Irfana Aziz

roop ke paa'wN choomne wale sun le meree baanee
pHool kee Daalee bohat hee ooNchee too hai behta pani

soondHee soondHee khushboo ke behte haiN sheetal jHarne
kHytooN par lahrata hai jab mera Aanchal dHaanee

too mera Aadarsh suhana maiN sapnoN kee Daalee
haryaalee dHan tera mera daolat Aanee jaanee

chand se maatHe par haiN gehree sooch kee teen lakeraiN
bHool g'ee rasta In bHool bHalyooN meiN Ik raanee

pHail gya hai qarya qarya tera rang sunehra
too hai mera roop sawaira maiN hooN shaam suhanee

bairagee ke roop meiN mere dar par Aanewale
tere dil kee dHaRkan lagtee hai jaanee pehchaanee

kitnee oonchee pareet hai teree janta ke rakHwaale
shaktee ka parchar kare gee teree paraim deewaanee


 




Kanwal Fairooz

jab naZar Aa'e na gul mujH ko kisee bHee Daal par
maiN parinde kee tarah ja kar gira hooN jaal par

mere us ke darmiyaaN dukH dard ka rishta raha
ab bHee baaqee os ke Aansoo haiN mirre roomaal par

jaisey on ko pahle hee m'loom tHa kiya kuch howa
muskara'e kuch na bole woh mirre aHwaal par

aisee Haalat to kisee mae nawsh kee hootee naheeN
laR kHaRa ke reh gya hooN maiN tumharee chaal par

meree un kee doostee ke saal saare khoob tHe
Ik anokHa rang dekHa maiN ne guzre saal par

kya khabar ho os ke dil meiN mujH se milne ka khayal
surkhiyaaN see daoRtee daikHee haiN os ke gaal par

mere saare sh'r os ke naam se mansoob heiN
naach kar maiN ne guzaare din wafa kee taal par

waqt kaT ja'e ga kuch to guftagoo ke saatH saatH
Aa'w chal kar sair hee kar laiN zara see maal par

ae Kanwal maiN chahata hooN os ko kitna kya kahooN
mere bose cabat haiN os ke sunehree khaal par




Kishwar Naheed

Hasrat hai tujHe saamne beTHe kabHee daikHooN
maiN tujH se mukhatab hooN tirra Haal bHee poochooN

dil meiN hai mulaaqat kee khuwahish kee dabee Aag
mehndee lage hatHooN ko chupa kar kahaaN rakHooN

jis naam se to ne mujHe bachpan se pukaara
Ik umr guzarne peh bHee woh naam na bHoolooN

to ashk hee ban ke mirree AankHooN meiN sama ja
meiN Aa'na dekHooN to tirra 'kas bHee dekHooN

poochooN kabHee ghunchoN se sitarooN se hawa se
tujh se he magar Aa ke tirra naam na poochooN

ae meree tammana ke sittare to kahaN hai
to ai'e to yeh jism shab-e-gham ko na soonpooN




Raabe'a NihaaN

dil-o-nigah ke har ImtahaaN se guzre haiN
khaamoash rah ke bHee Husn-e-biyaaN se guzre haiN

HaqeektooN ko naheeN jaante keh woh kya haiN
magar woh loag kah waham-o-gumaaN se guzre haiN

na zindgee kee tammana na maot ka kHuTka
rah-wafa meiN gham Ibn-o-AaN se guzre haiN

kisee ke jalwe kee rangeenooN meiN gum ho kar
wafoor-e-shauq meiN sood-o-ziyaaN se guzre haiN

bHare haiN anjam-o-mahtaab mirre daaman meiN
Hareem Husn-o-rah-e-kahkshaN se guzre haiN

udaas dil kee tarah moasmoaN kee bechaenee
fazza meiN bikHree ho'ee tHee jahaN se guzre haiN

naxeeb meiN haiN nashaib-o-faraz-e-jaada'gham
woh ham ko lazat dard nihaaN se guzre haiN


 




Riffat Sultan

Ik Haqeekat bHee Ik fasaana bHee
kitna fankaar hai zamaana bHee

tum se mil kar howa hai yooN maHsoos
tum se tHa rabt gha'baana bHee

soane waale abHee naheeN jaage
qaafla ho gya rawaana bHee

Itvlaa" bata raha hooN tumheeN ---("..used as un)
raah meiN hai ghareeb khaana bHee

zikar-e-deer-o-Haram baja laikan
ho ko'ee baat sha'raana bHee

zeest le ai'ee hai wahan keh jahaN
sakhat mushkal hai muskaraana bHee

woh bHee naazak khayal hai Riffat
meree ghazlaiN haiN 'aashqaana bHee


 




Shaheda Hasan

deewarooN par saare saa'e boojHal haiN
AankHooN kee dahleez peh maosam jal tHal haiN

an dekHe shehrooN maiN saanseeN uRtee haiN
bin sooche yeh saare khawab musalsal haiN

kis kee baat hai kis kee raateeN kuch to kaho
pooch rahe haiN loog bHee kitne paagal haiN

AankH kHulee to meelooN pHail ga'e raste
shayad laot ke Aane waale gHaa'l haiN

Itnee zoar se baadal barsa kal kee raat
ab tak saare chalne waale paidal haiN